Water Purifier Buying Guide

02.05.20 12:42 AM By Bhupinder singh

Water Purifier Buying Guide

Knowing Your Water Source

Water Purifier kharidne se pehle humme yeh pata karna bahut jaroori hai ki humare ghar ya office jahan bhi apko purifier lagana hai waha paani konsa atta hai, matlab ki bore well ka paani hai , municipal corporation ka paani hai ya phir ya phir hum kissi essi society mein rehte hain jahan dono kisam ka paanni aaa jata hai .


Aaj ke samay mein humme paani peene layak banane

 ke liye do tarike se usmein correction karni hoti hai

  • Paani ka TDS human consumtion ke layak karna hota hai matlab <500PPm
  • Germs,bacteria,virus and other micro organisms hatane hote hain


Govt Water Supply

Ab agar humare yahan par municipal corporation ka paani aata hai toh 99% toh wo paani ka TDS Bureau of indian standards ke dwara set ki gayi range ke ander hi hota hai jo under 500PPM hai .

Govt ke water treatment plant se humare nal tak pahunchne main jo koi micro organism aa jate hai hume unko nikal kar paani peene layak banana hota hai.

Iss paani ke liye hum le sakte hai

  • Offline water purifiers jinko gravity water filters bhi kehte hain

  • Uv Water Filters
  • Low TDS Par Chalne Wale RO Bhi ( Jarurat Nahin Hai Inki )

 

Note :- Haa lekin agar apke ghar paani badbodaar aa raha hai toh apko apni water distribution agency ko complaint karke pehle jo contamination apke paani main hai usko thik karwana padega.


Under Ground Water > 500PPm

Ab hum baat karte hai agar apke yahan paani bore well ka hi hai matlab aapne govt ka water connection nahin liya hua aur aap ek submersible pump use karke underground water ka istemal karte hain.

Iss paani ko peene layak banana ke liye apko dono correction karni padengi

TDS wali bhi aur Micro Organisms waali bhi

Yahan aap offline water filter nahin use kar sakte , na hi UV water filter use kar sakte ho

Yahan apko lena padega essa water purifier jis mein RO ho

Ab RO ke saath aur kuch bhi chalega jaise

Ro+uv ya MF ya UF ya kuch bhi sab optional hai lekin RO toh chahiye hi chahiye kyuki yahi TDS ko Kamm karega aur baaki jo MF, UF aur UV hain yeh Micro Organisms ko hata denge.


Mixed source of Water Variable PPm

Ab hum baat karte hain jahan TDS level change hota rehta hai, TDS change kaise hota rehta hai,

Jaise ki aap kissi society main rehte hain jahan par govt connection aur underground water dono mix karke aate hon

Ya aap apne yaha khud hi submersible pump aur govt water connection dono use karte hon

Toh iss case main apko lena padega water purifier jismein RO+UV+TDS Controller ho aur yaad rahe TDS controller har ek ro main hota hai lekin yahan par hume variable wala chahiyeh jo ki Microprocessor controlled hota hai jo ki water ke source ka TDS sence karke output ko peenii layak banata hai   







Bhupinder singh

Added to cart
- There was an error adding to cart. Please try again.
Quantity updated
- An error occurred. Please try again later.
Deleted from cart
- Can't delete this product from the cart at the moment. Please try again later.